Rs 100 UBL Bank Asaan Account Detail | Opening Online | Atm Card | Charges

Helo Guise Agar Aap Bhi UBL Bank Asaan Account Open Karna Chahte Hai Lekin Aapko Pata Nahi Hai Atm Card or Debit Card Charges Ki Aur Kitne iske Limits Hai Atm Card Ke Kya Charges Hai. Ham Is Account Ko Online Open Kar Sakte Hai Ya Nahi Complete Information Is Article Mai Hai To Agar Aap Bhi Janna Chahte Hai To is Article Ko Complete Read kare.

UBL Bank Asaan Account

Dosto ubl asaan account Ko Aap Sirf Rs 100 Se Open Kar Sakte Hai Lekin Aapko Apne Sath Rs 1000/- Lejana Lazmi Hai Dosto Is Account Mai Aapko Ubl Paypak Card Bhi Milta Hai Jo Aap Pakistan Mai Rehte Howe Kahi Par Bhi Use Kar Sakte Hai Is Card Ko Aap Online Use Nahi Kar Sakte Locally Aap Is Account Ko Use Kar Sakte Hai. 


Agar Aapko Reading Mein Koi Problem Hai To Aap Is Video Ko Bhi Watch Kar Sakte Hai Jis Main Yahi Sab Kuch Bataya Gaya Hai To Neechi Wali Video Ko Dekh Le Aur Aus Ke Sath Main Aapko HBL Bank Asaan Account Ka Video Bhi De Donga Jis Main Aapko Hbl Bank Asaan Account Ke Bare mai Bhi Complete Knowledge Ho Jayega.

UBL Asaan Account Debit Card


Dosto Ubl Bank Asaan Account Main Jo Aapko Debit Card Milta Hai Matlab Atm Card Asal Mai Ham Isko Atm Card Kahenge Kyu ki Debit Card Ham Aus Card Ko Kehte Hai Jo Hum Internationally Use Kar Sakte Hai Aor Atm Card Ham Aus Card Ko Kehte Jo Serf Aus Country Mai Use Hota Hai Jis Country Main Banaya Gaya Ho. Ubl Asaan Account Mai Jo Atm Card Aap Ko Milta Hai us Ka Naam Hai UBL PayPak Debit Card Iske Detail Mai Neechi Write Kar Dunga Lekin Yaha Par Mai Aapko Bata Du Ye Card Khas Tor Par Un Logo Ke Liye Banaya Gaya Hai Jo Ke Pakistan Se Bahar Nahi Jate Aur Online Bhi Koi Kaam Nahi Karte Kyun ke Is Card Ko Ham Pakistan Se Bahar Use Nahi Kar Sakte Aor Na He International Transaction.

Agar Aapko Pata Nahi Hai Ke Paypak Card Kya Hai Aor Ye Kis Tarah Kaam Karta Hai To neechi maine Ik Video Ka Link Diya Hai Aus Video Ko Agar Aap Watch Karenge To Aap Ko Complete Information Mil Jayegi About UBl Paypak Debit Card To Agar Aap janna Chahte Hai To is Video Ko Last Tak Dekhe Aur Agar Aapne Hamare YouTube Channel Tech With Saeed Ko Visit nahi Kiya To Please Guise Isko Bhi Ik Baar Zaroor Visit Kare Kyu ke Waha Par Bhi Main Pakistani Banks Ke Related Videos Upload Karta Rehta Hu.



Related Article...

HBL Paypak Debit Card Js Bank FreeLancers Account

                                    
                             

UBL Asaan Account Atm Card Charges


First Time Charges

Free For First Year

Yearly Charges

Rs. 1500/-

Monthly Charges 

None-

Daily Charges

None-

Cash Withdrawal Charges (UBL Atm)

Free 

Cash Withdrawal Charges (Other Banks)

Rs. 18/- Per Withdrawal

Local Shopping Charges

None-

Paypak Debit Card Charges

Rs 1500 Per Year


UBL Asaan Account Limits

UBL Bank Asaan Account Ke Limits Ki Agar Baat Ke Jaye To Iski Daily Limits Hai Rs: 50,000/- Yani 50,000 Rope Se Zyada Aap Is Account Se Daily Nahi Nikal Sakte Hai.


UBL Asaan Account Ki Monthly Limits Ki Baat Kare To Is Se Aap Mahine Main 5 Laak Rope Nikal Sakte Hai Yani 5,000,00 Rope Aap Ba Aasani Nikal Sakte Hai Aur Agar Aapko jyada Nikalne Hai To Bank Ke Head Office Se Contact Karna Hoga Wo Aapki Monthly Limit Ko Increase Kar Sakte Hai. 

UBL PayPak Debit Card Charges and Limits

Dosto Agar Baat Kare PayPak Debit Card Ki Charges Khi To Paypak Pakistan Ka Apna Company Hai Ye Card Pakistan Ne Hod Banaya Hai To Iski Charges Bhi Kam Hai Magar Jab Ye Bank Se Link Hojate Hai To Is ki Charges Increase Ho Jate Hai Misal Ke Tor Par Agar Aap Easypaisa Istemal Karte Hai To Agar Aap Paypak Card Order Karte Hai To Aapko Rs 500 se 600 Ke Beech Mai Mil Jata Hai. Aur Iske Monthly Or Yearly Bhi Koi Charges Nahi Hain.

Magar Baat Kare UBl Bank Paypak Debit Card Ki To First Time Ye Aapko Bilkul Free Milta Hai Magar Yearly Charges Rs 1500 Hai To Ab Aap Bolinge Ke Is Me Itna Park Kyu Hai To Iska Ik He Reason Nikal Kar Aata hai Ke Bank Kapi Sare Employers Rakta hai Jin ke Waja Se Tamam Product Mihenge Ho Jate hain.

Agar Aap Is Card Ko Use Karte Hai Ubl Bank Ke Atm Main To Aapko Kesi Bhi Tarah Ke Charges Nahi Dene Honge. 

Aur Agar Kesi Other Bank Se Paise Nikalte hai UBL PayPak Debit Card Se To Aapko Rs 18/- Har Dafa Paise Nikalne Par Ada Karna Parega. 

UBL Asaan Account Types

Dosto Ubl Asaan Account Ke 2 Types Hai Ik Hai Ubl Asaan Current Account Aur Dusra Hai Ubl Asaan Saving Account Dono Main Kya Park Hai Complete Baat Karenge Magar Yahan Main Aapko Bata Du Ke Saving Account aur Current Account Main Kya Par Hai To Is Part Ko Hamne 2 Parts Main Divide Kiya Hai Jo Aapko Bari Bari Se Dekhna Hoga.

UBl Asaan Current Account Detail

Dosto Jaisa Ke Aapko Maine Bataya Ke Ubl Asaan Account Ke 2 Types Ye Asuka Pihla Type Hai Jese Ubl Asaan Current Account Kehte Hai Is Account Ko Aap Sirf Rs 100 Rope Se Open Kar Sakte Hai Simply Aapko One Page Ka Form Mil Jayega Aapne us Ko Fill Karna Hai Agar Aapko Fill Karna Nahi Aata To Bank Walo Se Bhi Aap Fill Kar Sakte Hai.

Read Also... UBL Bank Swift Code

Eligibility Of UBL Bank Asaan Current Account

Eligibility For Cnic Holders 

Agar AapKe Paas Apna Cnic Hai Jo Nadra Ne Aapko Faraham Kiya Hai To Aap Is Account Ko Open Kar Sakte Hai.


Is Account Yani UBl Asaan Account Main Age Ki Koi Limit Nahi Hai Agar Aapki Age 65 Years Se Bhi Uper Hai Tab Bhi Aap Is Account Ko Open Kar Sakte Hai.


Aapke Paas Rs 100/- Hona Lazmi Hai Is Account Ko Open Karne Ke Liye Agar Aap Jyada Paise Rakhna Chahte Hai Tab To Boho Accha Hai.


Eligibility For Minors

Agar Aapki Age 18 Saal Se Kam Hai To Aap Apna B Form Yani Date Of Birth Certificate Lijakar Account Open Kar Sakte Hai.


Wahi Again Aapke Paas Rs 100/- Hona Lazmi Hai Is ke Baghair Aap Account Open Nahi Kar Sakte.


Guaranty Ke Liye Apne Maa Ya Baap Bhi Kisi Ko Bhi Le Jasakte Hai Jo Aapke Liye Account Open Kar Wake Digha.


UBL Asaan Saving Account Detail

Dosto Agar Aap Ubl Bank Main Asaan Saving Account Open Karna Chahte Hai To Aapke Paas Apna Original Cnic Hona Lazmi Sab Se Pehle To Mai Aapko Batadu Ke Saving Account Kya Hai Aor Is Account Main Hame Kya Milta Hai.

Dosto is Account Main Aapse Kise Bhi Tarah Ke Charges Nahi Kat te Balke Bank Aapko Aur Paise Bhi Is Account Main Deta Hai.


ATM Card Yani Debit Card Aapko Free Milta Hai. Is Account Ko Aap Sirf Rs 100 Se Open Kar Sakte Hai.


Balance Ke Koi Limit Nahi Hai. Baghs Dafa Kya Hota Hai Ke Aap Jab Bank Main Account Open Karte Hai To Us Me ik Khaas Limit Deta Hai Bank Wala Agar Aapka Balance Us Se Kam Hojata Hai To Aap Ka Bank Account
Block Kar Diya Jata Hai Magar Yaha Par UBL Bank Asaan Saving Account Mai Agar Aapka Balance Zero Bhi Ho Jata Hai Tab Bhi Aapka Bank Account Open Rehta Hai.

ubl asaan account opening online

Dosto Agar Aap Bhi Ye Janna Chahte Hai Ke UBl Asaan Account Online Open Kiya Ja Sakta Hai Ya Nahi To Iska Ik He Jawab Hai Nahi Aap UBL Bank Ka Koi Bhi Account Online Open Nahi Kar Sakte Siwaye UBL Roshan Digital Account Is Account Ko Aap Online Open Kar Sakte Hai.

Magar Doston Ye Un Logo Ke Liye Hai Jo Pakistan Se Bahar Others Country Main Hai To Is Account Ko Open Kar Sakte Hai.


Aur Agar Aap Janna Chahte Hai Ke HBL Bank Account Online Open Kiya Jasakta Hai Ya Nahi To Neechi Video Ko Watch Kare.

I Hope Dosto Aapko UBL Bank Asaan Account Ke Bare Mai Jo Bhi Doubt Thi Wo Solve Ho Gaye Hoge Milte Hai Kisi Aur Article Mai Thanks For Reading.

Post a Comment

Ask About Thai Lottery And Prize Bond Result Today 100,200,750,25000,40000, Complete Detail

Previous Post Next Post